My Private Collection of Some Best Shayaris
Woh bewafa hi sahi aao us ka zikar kare ..
Abhi toh umar padi hai use bhulane ke liye ..
Roye is qadar wo meri laash se lipat kar ..
agar is baat ka pata hota to kab ka mar gaye hote ..
har waqt rulaata hai wo hadh se zyada muhje ..
jisko hum tassawur me bhi rone nai dete ..
mere aansoo bhi tumhe na khareed sake
logo ki muskurahato ne tumhe apna bana liya
Mujh ko tere Qurb ki khawahish toh hai magar ..
Ulfat ka jo Maza hai wo inhi Faaslon main hai...
tum rakh na sakoge mera tohfa sambhal kar,
Warna
Main tumko abhi de doon apne jism se rooh nikal kar
usme baat hi kuch aisi thi ..
gar dil na dete toh jaan chali jati ..
kitni dil-kash thi uski khamoshi ..
saari baatein fuzul ho jaise ..
Apno ki chahato ne diya aisa kuch faraib ..
Rote rahe lipat ke har ek ajnabi se hum ..
Wo chahti hai mohabbat ki bheek maagu
Us ko maalum shayad meri khud-daari ki intiha nahin
Agar aazmanay par hi raazi hai meri anna to dekhna
Mujh say barh k phir zamaane me koy be-wafa nahin...
wo aisa to nahi tha k mujhy chor k chala jata
aya hoga zarur oski zindagi main koi mujh se b payara
Guzar Jaye Gi Zindagi “Us” K “Baghair” Bhi”
Woh “Hasrat-E-Zindagi” Hai “Shart-E-Zindagi” To Nahi..!!!
Us k kehnay par uski tamanna he chordi hum ne,,
Zara hum bhi to daikhain kon chahta hai usay hamari tarah!...
Bhul na jaun maangna tujhy har Namaz k bahd
yehi soch k humne naam tera “Dua” rakha hai....
Khali haathon ko kabhi gaur se dekha hai faraz ..
Kis tarah log lakeeron se nikal jate hain ..
Barbad karne ke or bhi raste the
najane unhen mohabbat ka hi khayal kiyun aaya
Ab WoH Samjha Meri Chamkati H0i Aankh Ka Raaz . . .
K Main Rota NAhi Aansu Ko Qaid Kr Leta Hon . . .
Kitni ajeeb hai iss shehr ki tanhai bhi
Hazarön log hain magr phir bhi koi us jeasa nahi.
Ab to awaaz bhi de do, to nahi aayenge
Tootne wale qayamat ka intezaar karte hain.
Woh talluq torr kar bhi meharbani kar gaya hai
Rubt jo fani tha usay ghair fani kar gaya hai
Mein to samjha tha ke mil kar dastan poori hui
Wo to bicharr kar bhi barri lambi kahani kar gaya hai
hum neend k shoqeen zyada nahi lekin
kuch khwab na dekhen to guzara nahi hota
Neendon ki baghawat se yeh nuqsan hua hai**
Ik shaks k khawabon ko tarasti rahi Aankhein
mujh se aise he nahi door hui hijar ki balaa ..
Maine taveez me tere naam ke harf likhey hain ..
aPNI nEEND sE mUJE kUCH YOUN b mohabbat HAI k,,,,,,,
US nE kAHA tHA MUJE PANA TuMHARY lIYE sIRF KHWAAB HAI..
Dil hua zakhmi magar kisi ko khabar nahi,
Meri chahaaton ka uss par koi asar nahi,
Ho kay juda tum se ek shaks mar jaeyga,
Sun k us ne kaha ye koi buri khabar nahi.
Tum se bichdey to humein maloom hua ki maut bhi koi cheez hai,
zindagi woh thi jo hum teri mehfil mein gujar aye
Furset milay to poch kebhy unka hal b
Jo log g rehain hain tere payar k baigair
Do Chaar Nahi Mujh Ko faqt aik dikha do..
Wo shakhs jo bahar say bhi Andar ki tarha ho.
sirf hathon ko na dekho kabi aakhein b parho ......
kuch sawali baray khudaar hua kartay hain......
keh Do usay" "k"Judai aziz hai To rooth jaye hum say ..
wo Jee sakta hai To mar hum bhi sakte hain
Us Ki Soch Nay Usay Mehdood Rakha Hai....
Warna "HUM" Us Ki Soch Say Bhi Ziyada Chaahtay Hain usaY..
Udaasiyun Mein Jeena Aadat ban Gayi Hai
Jin se umeed thi Yaad Rakhne ki Woh hi Bhool Gaye hain…
Kabhi Lay Mujh Se Meray Shab-o-Roz ka Hisaab.
Phir Dhoond Apnay siwa Kuch or Meri Zindgi mein.
mujhy bhulany ki adat ye kasi..
koi pochta hai mera nam main bhool jata hun.
kya dekhte ho apne hathon ki lakiron ko 'GHALIB'
wo tera tab bhi na tha jab us ka haath tere hath me tha ..
aise zakhmoon ka kya kare koi...
jin ko marham se aag lag jaye...
hawaa chali thi kuchh aisi bikhar gaye hote
rago me khun na hotaa to mar gaye hote
ye sard hawaa ye aawaaragi ye nid kaa bojh
ham apane shahar me hote to ghar gaye hote
...
hami ne rok liye apane sar pe ye ilzaam
vagaranaa shahar me kis kis ke sar gaye hote
hami ne zakhm-e-dil-o-jaan chhipaa liyaa waranaa
na jaane kitano ke chehare utar gaye hote
sukun-e-dil ko na is tarah tarasate ham
tere karam se jo bach kar guzar gaye hote
hum dil to kya rooh me bhi utar jaty hain,,,
tum ne hmain chaha hi nhi chahny walon ki tarah
Ab Main Samjha Us Ki Chamakti Aankhon Ka Raaz Saaqi...
Woh Rota Nahi, Aanso'on ko Qaid Kar Leta Hai...
Main Doob Kay Ubhra Tu Bas Itna Hi Dekha
Auro Ki Tarah Wo Bhi Kinaray Pay Khara Tha
Main Khud Garz Nahi K Khushion Pe Mar Mitoon
Gham Bhi Mujhe Aziz Hen Apno K Diye Howe.
Agar Ruk Jaye Meri Dharkan To Ise Mout Na Samjhna,
Kayi Baar Aisa Hua Hai Tujhe Yaad Karte Karte..
Main to suraj hun meri umar hi kitni hai Mohsin
Shaam hotey hi bhula detay hain teray shehar k log..
jis se mil kar zindagi se ho jaaye ishq..
wo shakhs dekhna hai to gaur se dekho hamein
Kabhi Jazbon Kabhi Khawabon ki Tijarat Kar K
Dil Ne Dukh Dard Kamaye Hain Mohabbat Kar K
Tum Jab Aao Ge to Mehfooz Milege Tum ko
Hum ne Dafnaye Hain Kuch Khwaab Amanat Kar K
Ek zara si Bhool Hui or Use Kho Baithe
Hum ne Paya Tha Jise Barson Ibadat Kar K.
Tanhayioon Main Baith Ker Kya Sochtay Ho Tum
Kuch to Hamain Batao Pareshaan Hum Bhi Hain.
Jab Dekho Mujhe to Apni Nigahen Tham k Dekhna.
Kahin Meri Dard Bhari Nigahon Se Tumhain Mohabat Na Ho Jaye.
Ay dil TANHAIYON MEIN mein rehny ka AADI hoja...
Jinhain tu YAAD karta hai wo bary MASROOF rehty hain...
Bus itna hi chahna mere bad meri zaat koo...
K agar kabhi mera khayal aye to apna khayal rakhnaaa...
Ajeeb Andehra Hai "SAAQI" Teri "MEHFIL" Me...!!!
Kisi Ne "DIL" Bhi Jalaya To "ROSHNI" Na Howi..!!!
mery pass say guzar kar mera hal tak na pocha
mai kisay maan jawo wo door ja k roya
in baadalon ka mizaaj mere meboob se bot milta hai
kabi toot k barasty hain,kabi be rukhi se guzer jaaty hain.....
kuch nahi badla muhabat main yahan..
bus bewafai aam ho gai hai...
Karlo Raabta Jab Tak Hum Zinda Hain
Phir Mat Kehna Chalay Gaye Dil Mein Yadein Basa kar...
''Us ki "NIGAH" main itna assar tha, "FARAZ"....'
'Khareed li us ne aik nazar main zindagi humari
Jeeney ko to Jee Rahe Hain un k baghair bhi Lekin,
Saza-e-mout k mayoos qaidiyon ki tarah..!! :-(
Meri ROOH Main,,DIL main,,DHADKAN main,wo Hi hai ..
bas QISMAT main Nahi To KHUDA se Gila Kesa..........
Aaj Unho Ne Hi Rula Diya Mujh ko ..
Jo Tasalian Diya Karte The Ke Tum Roye To Hum Mar Jayege ..
Kaun Kehta Hai Ke 'ALLAH' Nazar Nahi Aata??
Ek Wohi To Nazar Aata Hai Jab Kuch aur Nazar Nahi Aata ..
Aaj mere "Janazay" me saara sheher shareek tha ..
Jab k kal Hum Tanhaiyon K Khoof Say mar gaye the ..
Mat De Kisi Ko Dua Apni Umar Lagne Ki ..
Yahan Aise Log Bhi Hain Jo Tere Liye Zinda Hain!
ishq ne seekh li hai waqt ki taqseem bhi ab..
wo hamein yaad toh aate hai magar kaam ke baad ..
chahne walay b baray naseeb se miltey hain
tum ye baat tasleem karo gay mere bichar jaane k baad..
har bar na kaha kar k tujy ch0r dein gy ham faraz
Na ham itny aam hain na ye tery bs ke bat h
Yahi nahi k hamein tod gaya hai koi ..
Use bhi khud ko bahot baar jodna hoga ..
Ek Sard Bhari Raat Me Us Ne Mujhse Hath Milaya
Aur Kaha K Tumhare Garm Hath Wafa Ki Nishani hai ..
Aaj Samajh Aya Ke Us Ke Hath Thande Q The ..
hai phul umeedon k khil he jayenge,
hum ek roz mil hi jayenge,
kaun rokega sagar ki maujon ko,
tufan uthenge toh kinaare hil hi jayenge..
Ajab lutf aaraha tha us ki dil lagi ka
K nazre bhi mujh par thi aur parda bhi mujh se tha
Jalta hua diya dekh kar khush hone ki adat thi use
bas usko khush rakhne k liye sari umar hum jalte rahe ..
labon par tabassum aankho me do char ashq bhi hain,,,,
aaj unhe shayad kisi ne hasa kar rulaya hai...
Maine uss se kaha ke Ch0d do ya tod do mujhe ..
Us ne hans k gale se lagaya
Or kaha
...Chod rahi hun aaj tumhe
Toot tum khud jao ge ..
woh kehtay thay roonay se nahi badalte naseeb
unn ki iss baat ne umar bhar roonay bhi na diya
Her Roz K MiLne Mein Takaluf Kaisa
Chand Soo Baar Bhi Nikle To Naya Lagta Hy....!
Zamane k sawalon ko main has k taal du ..
Lekin nami ankhon ki kehti hai “mujhe tum yaad aate ho”
Zabt Krna Ghum Chupana Ab Zarori Hogya
Rote Rote Muskurana Ab Zarori Hogya
Haath Mera Dekh Kr Yeh Mashwara UsNe Diya
Kuch Lakeron Ko Mitana Ab Zarori Hogya....
Mujhe Choor Day Mere Haal Per
Tera kiya bharoosa aye ajnabi
tri Mukhtasir si Nawazishen mera dard aur barha na den.Mujhe Choor Day Mere Haal Per
Bara maza hoga mehsher me jab hum karenge shikwa
Woh minnaton se kahenge chup raho Khuda ke liye ..
Itna Aasaan Nahi Shehr-e-Muhabbat Ka Pata Faraz
Yahan Khud Bhataktay Hain Raah Batanay Walay.
tna Toota Hoon K Choony Se Bikhar Jaaonga
Ab Agar Aur Duaa Do gy To Marr Jaaonga
Le kar Mera Pata Waqt Raayagan Na Karo
Main To Banjaara Hon Kya Jany Kidhar Jaaonga
...
Is Taraf Dhund Hai Jugnu, Na Charaag Koi
Kaun Pehchaany ga Basti Mein Agar Jaaonga
Zindagi…, Main Bhi Musafir Hon, Teri Kashti Ka
Tu Jahaan Mujhse Kahay gi Main Utar Jaaonga
Jahaan Reh Jaaen gy Gulaadon Mein Yaadon Ki Nazar
Main To Khushboo Hoon Fizaaon Mein Bikhar Jaaonga
Apni zaat main nilaam ho raha hoon qaatil
gham-e-hayat se kaho khareed le mujhe ..
MERI WAFAYE HAI UNKE WAFAON K SAMNE,
JAISE KOI CHARAG HO HAWAON K SAMNE,
KISMAT TO CHAHTI HAI TABAHI MERI,
LEKIN MAJBUR HU KISI K DUAON K SAMNE
Tere khyal se daman bacha k dekah hay..
Is dil ko bht azma k dekha hay…
Azab lagta hay her Lamha “TERE YAAD” k baghair..
...Hum ne kuch der tumhain bhula ker dekha ha..
JanaZa Rok Ker Mera wOh Iz AndaZ Se bOli…
Gali Hum Ne Kaha tHa Tum tO DunYa ChOr Ja Rahe hO
Kabhi To Thak Ke Har Aas Toot Jaayegi ..
Abhi Kitabon Me Hum Bhi Gulaab Rakhte Hain ..
Apni zaat main nilaam ho raha hoon qaatil
gham-e-hayat se kaho khareed le mujhe ..
Teri Is Bewafayee Pe Fidah Hoti Hai Jaan Meri
Kaash Tujh Mein Wafa Hoti Tu Kya Hota
Tamaam Umar Guzaar di Apne Yaar Ko Manaane Mein
AGar Pataa Hota ki Mohabbat Ruth Gayi hai.. To Usse Manate
Main na kar saka ranginiyo me bhi apne is dil ka ilaaj ..
Dil k darwaza khule rahe .. koi aata raha koi jata raha ..
Uske honton ko dekha tu meray dil me khayal aya.
"shah"
Wo lafz kitnay nashelay hongay jo inhay chho kar guzarty hongay..
"Wo ek Munfrid Phool Tha Jo Mere Dil Ko Bha Gaya
Warna Mai Wo Nhi Jo Hr Gul Pe Fida Ho Jaon"
Kabhi aansu chupa chupa k roye
Kabhi dastan-e-gum suna suna k roye
Raat kat-ti hai intezar-e-yaar me
Hum raat bhar taaron ko jaga jaga k roye
Phir wo na aye raat ka wada kar k
Hum tamaam raat shama jala jala k roye
Aaj raat un k aane ki umeed thi humein
Wo na aye hum ghar ko saja saja k roye
Suna hai dua se hoti hai muraad poori
Arey hum to sari raat hath utha utha k roye ..
WAFA” k name ek dastan likh raha tha,
MUSHKIL” lafzon ko asan likh raha tha,
WAFA” ki talash me sara jahan likh raha tha,
NA” mili wafa to lafz nakam likh raha tha,
NAHI” milty dhondny se bhi wafa karny waly,
......ESLIYE” sary jahan ko bawafa likh raha tha,
NA” karna pyar kabi zindagi me mary dost,
MILTI” hy pyar me ruswai ye bar bar likh raha tha,
KION” karty hen pyar me itny wady log ,
PYAAR” me toty hoy wady hazar likh raha tha.
Kab Hui pyar Ki Barsat Hume Yad Nahi,
Khauf me Doobi Mulaqat Hume Yaad Nahi,
Hum To Madhosh The Kuch itna us Ki Chahat me,
Us Ne Kab Chod Diya sath Hume Yaad Nahi,
Zindagi jabr-e-musalsal ki Tarah kati Hai,
Jane kis jurm ki payi Hai saza Yaad Nahi,
Maine palko se Dar-e-yaar par Dastak Di Hai,
Main wo sahil hu jise koi sada Yaad Nahi.
Aao 1 sajda Kare ..Aalam-e- madhoshi me,
Log kehte Hain k "aasim" ko khuda Yaad Nahi ..
Samajh'ta tha mein apne aap ko husn ka baadshah
Jab se usne thukraya hai mujhko,mene aaina dekhna hi chor diya..... !!
Merri Ankhain Bhi Ik Din Mujhsey Ye Keh Daingin Sagar_
Khuwaab Na Us K Dekhaa Karo Hum Sey Roya Nahi Jata......!!!!!!!!!
Bas Itnaa Kaha Tha Barsoon Ki Pyaas Hai Sagar_
Honton Per Rakh K Hont Usney Khamosh Kardiya.....
Baad Marne K Bhi Usne Chodaa Na Dil Jalaana Faisal
Roz Phaink Jata Hai Phool Saath Wali Qabar Per..!!!!!
Sab K Honton Pe Muskurahat Thi Merey Qatal K Baad Sagar_
Lakin Janey Kyun Ro Raha Tha Qatil Meraa........
Mere Aib mujhe Ungliyon Pe Ginwao DOST
Bas Meri Ghair Mojudgi Me Mujhe Bura Na Kehna
tum na MOHABBAT ki khush fehmiyoon mein kho jana
woh toh hans kar sab hi se milta hai ..
Mehfil me sab k labon par meri tareef k fasane the ..
lekin ek shakhs phir b mere qatal ka irada rakhta tha.
Us ka milna hi moqaddar mein nahi tha werna
Hum ne kia kia nahi khoya usay panay k liye
Wafa Ka Naam Koi Bhool Kar Nahin Leta
Tere Sulook Ne Chaunka Diya Zamane Ko.
Kaise guzrti he meri har ek shaam...
Agar tu jaan ley to kabhi mujhe tanha na choray....
Palkain Neend Se Bojhal Zarur Hain LEKIN
Soo Gay Hum To Tumhein Yaad Kon Kare Ga.....
Meri Jaisi Aankhon Waly Aaty Hain Jab Sahil Par...
Lehrein Shor Machati Hain Lo Aaj Samundar Doob Gaya....
Hum toe uski her khawaish puri karne ka wada kr baithay
hmein kya pata hmein chorna b uski ik khuwaish thi
Nadan Hai Kitna Woh Kuch Samjhta He Nahi..
Seenay Se Laga K Pochta Hai K Dharkan Taiz Kyun Hai..
wo aksar hum say kaha karta tha zindagi tumhary naam kardi
na janay zindagi mere naam kar k wo khud kis ka hoo gaya.
Kon Rakhy Ga Humain Yaad Is Dor_e_Muflise Mein
Halaat Aisy Hain K Logon Ko to Khuda Yaad Nhi
Woh jo auron ko btati hai jeenay k tariqe
"shah"
khud apni muthi main meri jaan liye behti hai.....
ye kaisa hai???
tu nay Muhabat b ajeeb cheez banai hai ya RAAAB.......
tere bandy tere hi samnay ksii or ky lye roty hian!!!
Ab milenge toh khoob rulayege us sangdil ko
faisal
Suna hai rote hue use lipat jane ki aadat hai....
bin bataye najane kyun us ne doori kar di
bichad k us ne mujh se mohabbat adhoori kar di,
mere muqaddar me ghum aaye to kya hua..?
khuda ne uski khwaishe toh poori kar di ..
Tera na ho saka to mar jaunga ''MAAN''
kitna khoobsurat wo jhuth bolta tha..
wafa ki jang mat larna ye bekar jati hai
zamana jeet jata hai muhbt har jati hai
hmara tazkara choro ham aese log hain jinko
mout kuch nahi kahti tanhai mar jati ahi..
ek sham aur beet gai tere intazar min faraz
bht masroof tha aj bhi tu hmysha ki tarh
Gham ki jageer mili hai virasat me Mujhe.,
...Apni jageer me rehta hun Nawabon ki tarah..!
Saza Ye Hai K Aankhon Sy Cheen Li Hain Us Nay Needain Dost....
Jurm Ye Tha K Uske Sath Jeenay K Khuwab Dekhay Thay..!
Apne hi hote hai jo dil p waar krte hai FARAZ
Gairon ko kia khabar dil kis baat p dukhta hai !!!
Ager mujse bicherne ka nahi hai gham osay MOHSIN...
To phir khamosh raaton main wo akser jagta kiyu hai....!!
dhere dhere sab door hoty gaye
wqt k agy sab majbor hoty gaye
hr rishty min ham ne aesi chout khai
k ham bewafa aur baqi sab bequsoor hoty gaye...
kash usse ru-baro na karen mujko hashar main khuda kabhi
kitne mere sawaal hain jinka uske paas jawab nahi.
chhor diya hum ne uska deedar krna hamesha k liye.
jis ko hamari nigah se hi nafrat ho usse mur mur kar kiya dekhna..!!
hum ne khud me tumko peroya hai ek tasbeeh ki tarha..
agar hum toote to bikhar tum bhi jao gay...
Meri Chahat Ko Apna To Bana Lena Magar Soun Le. . . . .
jo Mera Ho Nahi Paya,Woh Tera Ho Nahi Sakta. . . . .
ßari tabdeeliyan lai hoon apne aap main lekin,
ßus us ko yaad kerny ki wo aadat ab ßhi ßaqi hai...!!
?""""! TUM NE !"""""
To phir bhi seekh liya Zamaney k sath jeena,!.
"faraz"......
"""""! HUM TO !""""
Kuch bhi na kar sakey tujhey chahney k siwa.
us ki qurbat to muqadar hai mily ya na mily..
us ki yaadon se bhi ho jati hai tasalli dil ko
mere intakhab ka myaar kuch b ho lekin,
jisy chunoon ga usey bemisal kr don ga...
is sheher k qatil ko main ne dekha to nahi..
mohsin
lashoon se andaza hai k qatil pe jawani hai...
Pichle baras tha kh0uf usey kh0 na dun,
Ab k baras hai dua w0 samne na aaye....!
Nahi atay kbi b lot kr guzrey hue m0sam......
Barastey badlon ki aas me tarsa nahi krte.......!
roh ka rishta mehosos hota hai dil se
zemir baichney walo ko khuda nahy dikhta
Tum Toh kuch mehdood Se Lamhon mein Miley Thay Humse,
Phir Janay Kyun Hum Itni Fursat Se Tumhein Sochtay Hain.....!!!
Do chaar Lufz keh k’ Mein Khamosh hogaya….
Wo muskura k boLey “Bohat BoLtay ho Tum !!
Bahot Ajeeb Hay Yeh Silsila Mohabbat Ka ~*
~* Na Uss Ne Qaid Mein Rakha Na Hum Farar Hue
Main bus ik bar lajawab howa faraz ...
Kisi apny ne kaha jab kaun ho tum ...
Halat ne tor diya kachay dhagay ki tarah… FaraZ
“warna”
Mery waday bhi kabhi zanjeer hua kartey they…
Hum har roz udas hotay hain aur sham guzar jati hai..
kisi roz sham udas ho gi aur hum guzar jain gay...
Tujhe khabar hoi, Na zamana samajh saka. . .
Hum chupke chupke tujh pe kai bar mar gaye...
Ab Bhi POOCHTAY Ho MUQAAM Apna,
Keh Jo Diya,
ZINDAGI Ho Tum...
Nahi Hy Muqaddar Main Wo Phr Bhi Us Se Pyar Karty Hain ..
WaS! ..
Buht Maza Aata Hy APne Muqaddar Ko Saza Deny Main...!!!
Kheench Lati Hai Mujhe Teri Mohabbat Warna...
Main Kai Baar Mila Hoon Aakhri Baar Tujh Se...
aisa kya likhoon k tery dil ko tass'alli pohanchy..""
kya yehi kafi nahi k meri duaaon mein tum ho..
KAbhi Passand na aye sath mera to bata dena Faraz
Mehsoos bhi nai kr paoge itne door chalay jainge hum.
Ek Naam Kya Likha Tera Saahil Ki Rait Par,
Phir Umar Bhar Hawa Se Meri Dushmani Rahi.
Guroor ho gaya unko apni mohabbat pe itna
Ke Apni Qadar ki soch me woh hamari Qeemat bhool Gaye..
Wapsi Ki Koi Umeed Nhii
Ghar Se Nikley Hain Ansoon Ki Tarah..
Chandni ban ker barasti hain us ki yadein muj per
"MOHSIN"
kitna dilkash hota hai meri tanhai ka manzar…
Is Qadar ToOt k Tum pe Pyaar aata hai .. ke ..
Apni Baahon me Bhar ke Maar Hi daale Tumko .. ...
Ek mudaat sey tum nahi’n aaey ''MAAN''
Ho sakey tou udaass ker jaana
Rastey main mat baitha kar hawa tang karey gi… Bichrey huey logon ke sada tang karey gi… Maat Chaho Kissi ko agahz-e-safar main itna toot kar…. Bichrey ga to aik aik ada tang karey ge…
Hum Itne Khobsurat To Nai Hein.. Saqi.
Magar Han.!
Jisey Aankh-Bhar K Dekh Lein Usey Uljhan Mein Daal Detey Hain..
Ehsaan kiya usne mujhe pyar sikhakar,
h0ti hai chahat kya ye muje samjakar.
...Qurbani hai pyar ka asli matlab,
chh0d diya saath mera bas itna bata kar...
Pehle Taraasha Usne Mera Wajood Sheeshe Se
Phir Zamaane Bhar K Hathon Me Pathar Thama Diye
Teri Mushkil Na Badaungaa, Chala Jaon Ga ..
Ashk Aankhon Me Chupaonga, Chala Jaon Ga ..
Muddaton Baad Main Aya Hoon Purane Ghar Me ..
Khud Ko Jee Bhar Ke Rulaonga, Chala Jaon Ga ..
Un Mahallat Se Kuch Bhi Nahin Lena Mujh Ko ..
Bas Tumhe Dekhoonga, Chala Jaon Ga ..
Chand Baatein Mujhe Bacchon Ki Tarha Pyari Hain ..
Unko Seene Se Lagaonga, Chala Jaon Ga ..
Apni Dehleez Pe Kuch Der Pada Rahne Do ..
Jaise Hee Hosh Me Aaonga, Chala Jaon Ga ..
wo aata hai roz meri kabar per hum safar ke sath ..
kaun kehta hai dafnaane k baad jalaaya nahi jata ..
Junoon-e-Ishq tha to katt jati thi rat Baton baton main.
Saza-e-Ishq hy to aik lamha hy Sadiyon sa...
Mere haatho ko uske haatho ki aisi aadat thi
Mere haath kisi aur ke haath ko choone ko razaa-mand na the ..
Main Roz-E-Hashar ka Qayal hoon Phir B hansta hoon ..
Ke ek banda khuda ko kya hisaab dega ..
aisaa bhii nahi ke wo laut kar na Aayegaa....
bewafaa wo sahii par itanaa bhii nahi...
Woh Aaye BAzm Mein Itna To Hum Ne Dekha Meer...
Phir Is Ke Baad Charaghon Mein Roshni Na Rahi...!!
Karta To HAi woh Yaad Mujhe Bohat Khuloos Se Magar...
Hota Hai Ye Kamaal Bari Muddaton Ke Baad...!!!
Ajab Tarz Se Guzri Hai Zindagi Apni...
Dilon Pe Raaj kiya, Phir Bhi Mohabbat Ko Tarsay...!!!
phir ussay saya e divaar nay uthnay na diya...
aa kay ik baar jo baitha tere divaar kay pass...
bohat roya kise ki yaad ko seenay sy laga kar FARAZ
zikr e khuda karty to shayad aaj WALI hotay
Lafzoon ki Tamheed Humse BAndhi Nhi Jati Ghalib...
Hum Tum Se Mohabbat Karte Hain Seedhi Si Baat hai..
Teray hjir men hm khud se bicharh gae.
Har shakhs teray bad hmen ajnabi laga...
yeh sub rastay k saathi hain, inhain aakhir bicharna hay....
chalo ab ghar chalain MOHSIN, bohat aawaargi kr li.....
Mujhe to mohabbat ka anjam maloom tha
main to faqat hathon ki lakeeron ko azma raha tha.
Ajj Phir Totaain Gi Teray Ghar Ki Nazuk Khirkiyan...
Ajj Ek Deewana Teray Shahar Mein Dekha Gaya ..
Hum sa Eh-le-dil tujhe kahan milega ..
Jo tere sitam b sahe aur tujhe DUA b de ..
Thak sa gaya hai meri chahaton ka wajood
Ab koi acha b lage toh hum izhar nahin karte ..
Ro Ro ke pucha mujhse mere Aansuon ne ..
tu apni kismat me aur kitne Ghum Rakhta hai ..
Woh apne sukun e dil ki khatir mile the hum se ..
Hum naadan samjhe k unhe hum se mohabbat hai shayed ..
Tere alfaazo ki barish me kya khoob asar hai ..
Ke tere ilzaamo me aaj tak main bheega pada hu ..
Main to Fannah ho gaya Uski AANKHEIN dekh kar..
woh naa jane Aaiyna kaise dekhti hogi.....
Luta diya ham ne apna sab hasil-e-zindagi.
Badshah se fakeer hue fakat ik wafa ki talaash main...!!!
Waqt Mila Unhe Toh Hume Bhi Yaad Kar Hi lenge Wo ..
Fursat Ke Auqat Me Hum Bhi Bade Khaas Hain Unke liyee ..
Muje hukum huwa kuch aur maang uske siwa ..
Main Dast-E-Duaa se uth gaya .. Ke Dua kuch b nahi unke siwa ..
Palatt Kar Bhi Nahi Dekhni Teri Ye Be-Rukhi Humne ..
Bhula Denge Tujhe Aisa Ke Tu Bhi Yaad Rakhe Ga ..
zaruri nahi ke suraj Zameen pe aajaye
Jab koi apna badalta hai to QAYAMAT ho hi jaati hai ..
ussey bhool janey ki qasam khata to hun magar…
tapaq pertey hain ansu qasam phir tooot jati hai…!!
Hui Muddat Ke Ghalib Mar Gaya Par Yaad Aata Hai
Har Ek Baat Pe Kehna Ke Yun Hota To Kya Hota ..
Kitna ajeeb he logon ka andaz-e-muhbt Faraz
roz ik naya zakhm de kr kehte hain apna khyal RAKHna...
yahan hain kaun mera jo mujhe samjhega ..
main koshish kar kar raha hu khud hi sudhar jau toh behter hai ..
Mujhe BhUla Kar Sona Toh Tumhari Aadat Hi Ban Gayi Hai ..
Kisi Din Hum Mar Gaye Toh Tumhe Neend Se Nafrat Ho Jayegi ..
Main kis tarha tujhay apna mad-e-muqbil man loon !..... Mera Pehla qadam ab bhi teri mazil se agay hay !...
PHIR SE NIKLENGE TALASH-E-ZINDAGI ME
DUA KARNA IS BAAR KOI BEWAFA NA MILE ..
kab tak hansenge tujh pe mehrumiyon ki shaam ..
wo shaks bewafa tha use ab bhool bhi jaa ..
naa phoolon me dilkashi naa baharon me taazgi
ek tere badalne se zamaana badal gaya ..
Bicharne ka iraada ho to muj se Mashwara karna
Mohabbat may koi bhi faysla "zaaati" nahi hota.
shiddat ki dhoop, taiz hawao k bawajood,
mai shaakh se gira hu nazer se gira nahi...!!
na jaane dil me kaisi dushmani ki aag rakhta tha ..
wo apna hi ghar jala baitha hamara ghar jalaane mein ..
Jab Usne Mujhse Jaan Maangi toh Kaise Na Deta ..
Chaunk uthte the Farishte bhi Uss ka Andaz_e_Dua Dekh kar ..
Usne din raat mujko sataya itna
ki nafrat bhi ho gayi aur mohabbat bhi ho gayi
Usne is nazakat se mere hothon ko chooma ki
bhi naa tooota aur iftaari bhi ho gayi..
Usne is tarah se mohabbat ki k
...gunah bhi na hua aur ibadat bhi ho gayi.
Mat puch uske mohabbat karne ka andaz kaisa tha ..
usne is shiddat se seene se lagaya ki .. maut bhi naa hui aur jannat bhi mil gayi...
khoob hai shooq ka yeh pehloo bhi
main bhi barbaad hogaya, tu bhi ! .......
Lipat Kar Apni Tanhai Se Jaagta Rehta Hun Main.!
Tamaam Raat Kisi Ki Yaad Mujhe Sone Nhi Deti
UsKi Koi Masoom Si Shararat Jab B Aati Hai Yaad
Udaas To Kr Jati Hai Par Rone Nhi Deti
Log Kehte Hain Bhool Kar Use Nayi Zindagi Shuroo Kr
Wo Rooh Pr Qabz Hai Mujhe Kisi Aur Ka Hone Nhi Deti......
You’n tera intazaar kerta ho’n
Jaisay mai’n tujhko yaad ho’n ab takk
Yeh AcchA hAi k BohAt AcchA nAhi Hoon mAin
Dukhi nA ho GhA koi Mere mArne K bAAd ..!!
Ye aor bat k wo nibha na saka werna
Jo kiye they us ne wo waday ghazab k they
Kitna Aadi Ho Gaya Tha Woh Shakhs Tumara
Tumharay Baghair Jiye Ga Kaise, Yahi Soch K Mer gaya....!!!!
Ja Tujhe Tere haal Par choda
Isse behtar Teri sazaa bhi nahi...
Sun kar wo hooron ki tareef parde se nikal aaye,
Phir kaha muskura kar husn isko kehte hain...
najane kya kaha tha doobne wale ne samadar se,
ke lehrain aaj tak sahil pe apna sar patakti hain . . .
?-•-.Kuch yoOn Hua k Jab bhi ZaroOrat pari Mujhe.-
Har Shakhs ittefaaQ sE MajboOr hO gaya.-•-
Rukh Pe Paseena, Taiz Dharkanain, Halka Sa Ihsaah-E-Haya,
Hum Pe Kiya Kuch Beet Gaya Hai Ek Tere Haath Pakarney Se ...
Mujhe Tere kaflay main chalne ka koi shoq to nahin
magar Tere saath koi or chale, mujhe acha nahin lagta....
Yah Chahtain Yah Ronakain paband hain mere jeene tak
Bina ROOH ke Nahi Rakhte Ghar waale bhi Jism ko....
chale gaye to pukaaregi har sadaa hum ko,
najane kitni zubano se hum bayaa'n honge . . .
Yaad Aati Ho To Hojati Hein Nam Meri Aankhein . . .
Kiya Tasawar Mein Bhi Sataney Ki Qasam Khai Hai Tum Ny . . .
Masoom Nazar, Bhoola Mukhra, Andaaz Shabab Aur Shokh Adaa
Tasweer Ka Jab Yeh Alam Hai, Woh Husn-e-Mujassim Kya Hoga.
Mat pucho ki kis tarah se chal rahi hai Zindagi...
Us dour se guzar rahe hai jo Guzarta hi nahin !
ghazab ki nigah se na dekh tu mujay dozakh
bara raheem hay woh jis ka gunahgar hoon main . . .
Meri Khamoshiyon K Raaz Mujhe Khud Nahi Maloom
Janay Phir Kyon Log Mujhe Maghroor Samajhte Hain
Dil Main Moabbat Ka Hona Zaroori Hai Dost
Warna Yad To Roz Dushman B KiYa Karte Hain
Mujhe Paakar Shayad Tumhe Kuch Ehsaas Na Ho,
Mujhe Khone Ka Gham Tumhe Bohat Tarpaaye ga..
Usey kisi ki mohabbat ka aitbaar nahin,
Usey zamaaney ne shayed bohat sataya hai
Meri Yaadon Se Bach Nikley To Vaada Hai Mera Tujhse.. ?
Main Khud Duniya Se Keh Donga Kami Meri Wafa Main Thi ? —
Gham bayan karne ka koi aur dhang ejaad kar
Tari ankhon ka ye pani tou purana ho gya.....
~Sar jhukane se namazein Ada nahi hotein.
~"Dil jhukana parta hai ibadat k liye.
~"Ghalib ny is liye tor di tasbi.
~"Kya gin k naam lon USKA jo Bay Hisab deta hai.
wo aata hai roz meri kabar per hum safar ke sath ..
kaun kehta hai dafnaane k baad jalaaya nahi jata ..
Ya khUdA tU hi jAntA hAi mEri bEchAin mUhAbbAt kA Alam . . .
k mujE jEEny k liyE sAns0 Ki nAhi Uski Zar0rAt hAi . . . !!
"Nahi Fursat Yaqeen Mano Hamain Kuch Aur Kerne Ki...
"Teri Batain Teri YAadain Buhut Masroof Rakhti Hain...!!
Wo tujh ko bhoolay hn, to tuj pay bhe lazim hai,
Khaak daal, aag lagaa, naam na lay, dafa kr
“Hawa khilaaf thi, phir bhi charaagh khoob jala,
KHUDA bhi honay ka kya kya suboot deta hai!”
Kash who Ek Mauka dete mujhe baat karne ka..
Main us sy b Rola dita uski sitam Suna Suna k...!!!
Khuda Kary Key Saari Umar Mujhe Manzil Na Mile
Bari Mushkil Se Wo Raazi Hui Hai Sath Chalny Ko......
Ab Ke Baras Koi Ajab Si Khwahish Jagi Hai Mere DIL Mein,,,
Ke
Koi Toot Ke Chahe Aur Main BEWAFA Niklu!!! ?
sarak gaya jab rukh e yaar se parda achanak,
farishtey bhi kehne lage kaash hum bhi insan hote........
Be Panah Chahat Ke Baad Bhi Hum Usse Pa Na Sake,
Kisi Khush Naseeb Ne Use Apni Berukhi Se Jeet Liya....!!
Woh Aate Hain to Dil me ek Kasak Mehsoos Hoti hai ..
Main Darta hoon kahin isko Mohabbat toh Nahin kehte ..
Main Ek khiloona hoon Aur woh uss Bachhe ki Tarha hai
Jise mujh say pyar to hai magar Srif Khelne ki had tak..
Jab Milo Kisi Se To Zara Door Ki Yaari Rakhna
Aksar Jaan leva hote Hain Seene se Lagaane Wale
Yaad Aatay Hain Aaj Uufff...Gunah kia Kia...
Ek Yeh k Mohabbt kar Li...Ek Yeh k Tujh Say Kr Li..!!
Tum Ko Uljha K Kuch Sawaalon Mai,
Me Ne Jee Bhar K Tm Ko Dakh Lia...
Mai Bad Dua Tu Ni De Raha Hon Tuhje...
Magr Dua Yahe Hai, Tujhe Mujh Jaisa Ab Koi na Mile...
Akele Raat Bhar Tarrpa nareez-e-shaam- e-gHam''''SaM''''
Na tum Aye,na neend aaie,na chain ayaa,na mout aaie''
bachpan ki wo ameeri na janey kahan kho gayi
Jab pani main hamare bhe jahaz chala kartay they
saqi ko gila hy k bikti nhi sharab,,,
ek tera naam hy k hosh mein aane nahi deta
so baar mrna chaha nigahon mein doob kr
woh nigahein juka leta hai humain mrnay nahi deta.
Hosh e haalat pe kaboo to kar liya maine,
unhe dekhke phir hosh kho gaye to kya hoga?
TanHai Ki Ye Raat Kat Hi Jayegi ITne Bhi Hum Majbur Nahi...
Dohra Kar Kabhi Teri BaToOn Ko, Kabhi Hans Lainge, Kabhi Ro Lainge...
Ajeeb trahn say socha tha zindge k leye
Jeena merna tha sirf usi shakhs k leye
Wo shakhs mujh ko chor gaya tu yakeen aya
Koi shakhs bhi nahi mrta kisi k leye....
DIL Karta Hain K Lipat Jaon "Rooh" Ban Kar Tere Jism 0 Jan Sey ..!!..!!..
K Jab Tu Khud Sey Mujhe Juda Kare To Teri Apni Jan Nikal Jaye
Meri Mayat pr Kafan na dalo
Muje aadat ha Muskurane ki,
Mere Janaze ko na le jao
Umeed ha mere dost k ane ki,
Dair hojaye tu kuch na kehna
Usay adat ha mujhe Satane ki,
Agr ho Naraz tu Ay yaro!
Koshish krna usay Manane ki,
Jab dekh kr chala jaye meri Mayat,
Phir tayari krna mujhe jaldi Dafnane ki,
kyu ke,
agr woh palat aya aur muje dekh kr roo para,
to meri sansaen wapis na aa jaen kyu ke meri adat hai usy chup karane ki …!
Ek teri tamanna ne kuch aisa sanwara hai
Maangi hi nahi jaati ab koi Dua hum se
Ye zaroori nahi kay jisko chaha jay wo muqaddar mein ho Faraz,
Zaroori ye hay k itna toot k chaho k taqdeer hi badal jay…
Dekhi Jo Nabz Meri To Hans Kar Bola ..!! Tabeeb !!..
Ja Deedar Kar Uska Jo Tere Har Marz Ki Duwa Hain *** AhSaN
tum hum se door reh kar khush ho to sada khush raho..
khuda gawa hai ham bhi teray khush rehny ki dua kiya kartay hain...
Kuch To Kam Hote Yeh Lambe Musibatoo'n K ..!!..!!..
Wo Aik DIN Toh Milti, Do DIN Ki Zindagi Mein
Aadmi kaam ka nahi rehta...
Ishq me bas yahi kharabi hai ....
Wo jaan gaya tha hame dard me muskrane ki aadat hai
Wo roz naya dukh deta tha meri khushi ke liye....
Tumse rooth kar tumko musalsal dekhta hoon main
Mujhe toh theek se naaraaz hona bhi nahi aata...
Bachon Si Tabiyat Hai Hum Ehl-e-Mohabbat Ki ..
Zid Karna , Machal Jana , phir Khud Hi sambhal jana ..
Uske Khat me Mere hi khat ke tukre they,
Aur Mujhe laga, Mere khat ka jawab aaya hai..
khudi per maan itna hy, khabi murr kar nahi dekha
Jisey keh don k mera hai ,usey hona he parrta ha
Nazar Mili Aur Un Ki Aankh Jhuki,,,!
,
,
Bus Itni Baat Thi Aur hum Barbaad Ho Gaye...!
Use b mujse waisi mohabbat ho toh kya baat hai ..
Ek si dono ki haalat ho to kya baat hai,
Dil ki chahat toh Aksar khwab jaga deti hai,
Haan agar sath me qismat ho toh kya baat hai ..
Meri tanhaiyan karti hai har pal yaad jise sada wo b mere sath ho toh kya baat hai,
Muskurane se b hota hai bayan haal-e-dil .. Ankh se Aansu b tapke toh kya baat hai,
Nind toh dard k bistar par bhi aa jati hai,
Par agar uski baaho me sarr ho toh kya baat hai...
Mujhe kismat se koi shikwa nahi LEKIN ay KHUDA
WOH Meri zindagi me aaya kun jab meri kismat me nahi
Na Jane Itni Mohabat Kaha se A gai Hai us K liye ???
K Mere Dil Bhi Us ki Khatir Mujh se Ruth Jata hai...!!!
Ab Dekhte Hain Kiski Jaan Jati Hai.!
Maine Uski Usne meri Kasam Khai Hai..!!
Ksi ki YaaD may Itna Udaas Na hua Kar ''MEHBOOB''
LoG Naseeb se MILTey hain UdaasiyOn se nhi..!! ?
Na rOya KrO ''UDAAS'' kSi BewaaFa ki yaaD May ''SHAH SHAHAB''
wO KHush hai apni Duniya may Teri Duniya kO UjaaR KaR..!!
Raah takte hue jab thak gai aankhen meri...
Dhundhne unko meri aankh se aansu nikle...
Faqat Kisi Ki Yad Me Rat Bhar Jagne Sey Nahi Milta Sukoon ..!!
Kisi Ko Yad Karte Karte So jane Ka Bhi Apna Maza Hain
Kia Mai Likho ab us Husun ko,
Jo Khod mjhy Qaid kr Gaya,
Maire Shairi to Kch bhe Nhe,
Wo Dil ki Dewar pr Ghzl Likh Gaya,
Aksr Daikha tha Mainy usy Khamosh ek Rasty Pr,
Wo Rasty pr Chalay, To wo Rasta bhe Khamosh kr Gaya,
Tou Q Ghbra gaya Usy Daikh kr Basil,
Wo Husun Buht So ko Aj Dewana kr Gaya,
Ek hojoom tha usy Daikhny ko tairy Dosto ka,
Aisa Kon Shks tha jo Basil ko Gulaam kr Gaya,
Mai Mitti ho Mjhy Mitti mai he Mila Daina,
Jo Aag Sy Jalty Hai Unhy Aag sy Jala Daina,
Gunah Buhut Kry Hai Mainy AY ALLAH,
DUA itni hai Ky Mjhy Jahunum sy Bacha Laina,
Mjhy Nhe to Kisi Aur ko he Sahi,
TO Aisa kr Maire Maa ko hr Khushi sy Nawaz Daina,
Mairy Alfazo Mai itni Jan Nhe AY ALLAH,
To Bus Mrty Waqt Maire Zuban Ko Kalma Tayba Parha Daina,
Hamesha sath Rehne ki aadat kuch nahi Hoti
Jo lamhy mil Gye ji lo
Riyazat kuch nahi Hoti
Jisy Mehromiyan mili Hon
wohi jan skta Hy
Zubani hosla
Jhoti murawat Kuch nahi hoti
Kai rishton ko Jb prkha
Nateeja ek hi Nikla
Zarort hi sb kuch Hy
MUHABBAT kuch Nahi hoti
Ksi ne choor k Jana ho
to phr Choor hi jata hy
Bicharna ho to Sadiyon ki Rafaqt kuch nahi Hoti
Ta’luq toot Jaye t0
Safeeny doob Jaty hain
Ye sb kehne ki Batain hain
Haqeeqt kuch Nahi hoti
Kaise bhula dete hai log teri is khudai ko ..
YA RAB ..
Mujhse toh tera banaya hua .. ek shaks bhi bhulaya nahi jata ...
muddat se jin ki aas thi wo mile bhi to kuch youn mile"..
hum nazar utha kar tarap uthe wo nazar jhuka kar guzar gaye...
kabhi sajde, kabhi aansu kabhi haathon ka uth jana...
mohabbat main naakaami per khuda hi yaad aata hai....
Aye ALLAH nazro ko aaj kuch aisi khudai de,
Jidhar dekhu udhar MADEENA dikhai de,
Kash aisi maherbani ho aaj hawa me
Huzur par Salam bheju aur jawab sunai de
Baat Sajdon Ki Nahi Khalos-e-Dil Ki Hoti Hai.....
Har Mekhany Main Sharaabi Aur Har Masjid Main Namazi Nahi Hota.....
Youn na khainch apni tarf mujhay bay-bas kr k,
K khud se b bichar jaon or ‘tu’ b na milay
Humko Aata hi Nahi zakhmo ki numaish karna
khud hi rote hain tarapte hain sambhal jate hain
phool shaakh se bichhre to kahin ka nahi rehta,,,,
Tum khud ko juda meri zaat se kuch soch k karna
Tum saamnay aa kar betho,
aur phir aankh aur zabt ka jhagra dekho
Har sans k sath mujhe socha karo ge TUM,
Apne hi aks main mujhe dhonda karo ge TUM,
Jab yaad aaye gi TUM ko WAFA meri,
Phir har shakhs ko chahat se dekha karo ge TUM,
Aaj meri tanhayi par hans rahe ho jo,
Mujh se bichar k issi baat par roya karo ge TUM,
Phir kese mere khayal se daman churao ge,
Jab meri tarha kisi ko chaha karo ge TUM,
Mere hote howe mera naam bholne walE,
Mere baad mere naam se sab ko pukara karo ge TUM..
Mere Mayar Ko Samajne K Liye Bas Itna Kafi hai
Main Uska Hargiz Nahi Hota Jo Har Kisi Ka Ho Jaye !
Mein Kaisy Us Shakhs Ko Rula Sakta Hoon..SARFARAZ,
Jis Shakhs Ko Mein Ne Khud ROO ROO Kar Manga Hy.....
Meri AANKHON Mein Chupi UDASI Ko MEHSOOS To Kar.i!i
"DOST"
Hum Woh Hain Jo Sab Ko HANSA Kar "RAAT" Bhar Rote Hain..!
tuj ko haar haal mein barbaad hona tha,
naaz kar naaz SARFARAZ, k us shaks ne barbaad kiya!
Khud ko hi qatal kiya, kisi ko kia ilzaam dain...
Jab hmu ne dil ki baat na maani toh isne dhadakna chod diya!!
Dunya Bhi Mili Hai,Gham e Dunya Bhi Mila Ha,
Wo Kyun Nahi Milta Jise Manga Tha Khuda Se....!i
phir kabi mohabbat nai ho sakti.
wo ek tha, aur mera dil bhi aik
Wo to "ANKHAIN" thi'n keh gyi'n sab Kuch
"LAFZ" hotay to MUKAR gayay hotay
Barbaad Basti Mein Kissey Dhoond'tey Ho Mohsin
Ujrey Huye Logon K Thikaney Nhi Hotey.....
"Nazuk" Mizaaj Hai Wo Itna K Kuch Na Pocho.
"wasi"
"Suna" Hai Usay Neend Nahi Ati Apni Dharknon K Shor Se...
Ae Zindagi Khatm Kar ab Ye Yadoon K Silsilay . .
Mein Thak Sy Gaya Hoon Dil Ko Tasaliyaan Detay Detay. ..!
Phir ghalat fehmiun Mein Daal dia,,,
"Muskrana koi ZArori tha"...... ???
Us Ko Sajne Ki, Sanwerne Ki, Zaroorat Hi Nahi
Us Pe Jachti Hai 'HAYA' Bhi Kisi Zewar Ki Tarha ..
wo bewafa to na tha yunhi badnam ho gaya,
hazaron chahne wale thy kis kis se wafa karta.
Tu Mujh Say Dooryan Barhany Ka Shoq Poora Kar....
Meri Bhi Zid Hay Tujhy Har Dua Me Mangun Ga.....!!!!
Qadar Karny Walon ko jab Nazron se gira diya jaye..
To Aksar Wafa Karny Walon ko Bewafai Hi Karni parhti hai..
Nikal Do Seenay Se Kambakht Hai Ye Dil!
Muhabbat, Muhabbat, Muhabbat Laga rakhi Hai
galti hui use jaan se bhi ziada chahne lage faraz
kya pata tha meri itni wafa use bewafa kar degi.
Us Ne Mari Baat Ka Jawab Nahi Diya Is Baat Ka Koi Ghum
Nahi..!!
SAQI Aye Ga Jab Wo Qaber Per Hamari Tu Hum Bhi Aysa Hi Karen Ge..!!
Tere husan ko perdey ki zarurat hi kia hai
kon hosh main rehta hai tujhey dekhney k baad….
Mere shikwon per us ne hans ke kaha FARAZ
Kis ne ki thi tumse wafa jo ham karte..
Rooth jane ki ada hum ko bhi atti hy FARAZ
Kaash hota koi hum ko bi manane wala...
Theek likha tha mery hath ki lakeron matn Faraz,
tu agar piyar kary ga to bikhar jaey ga..
Diya jalanay ki rasmen buhat purani hAI faraz
Hamaray shehar men insan jalaye jatay hen
mana k tere shahar mein hum se gareeb kam hon ge
lekin biki wafa teri to sab se pehle kharidar hum hon gey
Na Samajh Sakein Tum Meri Mohabbat Ki Intiha Ko,
Samajh Jatay To, Mujh Se Ziyada Tum Mere Talabgar Hote .
Ae Dil Tu Dharak Magar Itna Tou Zara Soch''
Tere Jazbaat or hain, Mere Halaat or Hai..
Bichad gaya hai toh uska saath kya maangu
zara si umar hai ghum se nijaat kya maangu
woh sath hota toh hoti zaroortein b bahot
akeli zaat ke liye kaynaat kya maangu ..
Sabab rone ka agar pooche woh, Toh faqat itna keh dena
Mujhe hasna nahi aata, Jahan par tum nahi hote.......
Uss nay dheeray saay rakha dil par hath aur Pocha..........
Kiya dard hota hai..???kab hota hai...???Ab hota hai.............???
Ajab paheliyan hein mere in haath ki lakiroon mein,
Safar to likhay hein magar manziloon ka nishan nahi
koi jannat ka talib hai, koi gham se pareshan ha...
zaroratien sajda karwatai ha, ibadat kon karta ha...
wo hont apny daanto'n m dbaa kr khty hn. . . . .
khd kaato'n to Drd, tm kaato to mzaa ataa h......
Log Kehte Hain Ke Muhabbat Ek Baar Hoti Hai,,,
Mein jub jub Usey Dekha Hun Muje Bar Bar Hoti hai,,,
aadatein mukhtalif hai meri duniya walo se ..
kam mohabbat karta hu par la-jawaab karta hoon ..
log meri muhabbat ko faqeeri samajhtay hain doston.!!!!!!
ye sach hy mai apny khuda se usay panay ki bheeg mangta hun....!!!!!!
Mery Nazdeek Aa K Dekh Mery Ahsas Ki Shiddat,
Mera Dil Kitna Dharakta Hy Sirf Tery Naam K Sath…
Wo apni saari nafrate mujh par lutata raha...
mere har ashq par mujhe or rulata raha...
unki chahat ka tareeka to dekho...
mujhse kiya waada wo kisi or se nibhata raha...
aacha hai aasim bhai
ReplyDelete1 from my side...
ReplyDelete"Aaaj phir Unhone Mera Hal pucha hai..
Kitna Muskil sawal pucha hai.."
^woah that was awesome :D
ReplyDeleteTere Khuloos ne rakha mujhe andhrere main ..
ReplyDeletetera faraib mujhe roshni main le aaya
تیرے خلوص نے رکّھا مجھے اندھرے میں
تیرا فریب مجھے روشنی میں لے آیا
^ :D
ReplyDeleteGive numbers to shayris...!!!
ReplyDeleteawesome work guys.............
ReplyDeleteSch a heart touching lines... i lv tht
ReplyDelete